Accountancy Forum
Iqbal Day ! - Printable Version

+- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum)
+-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=3)
+--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forumdisplay.php?fid=5)
+--- Thread: Iqbal Day ! (/showthread.php?tid=9117)

Pages: 1 2 3 4


Iqbal Day ! - raza 123 - 11-08-2010

Assalam 0 Alikum ! Guys

Happy Birthday Allama Sahab - ) I really love u !!


I ve no words to describe such a great personality !
He was the man of wisdom...patience ..he was above-board in his dealings, an honest personality ...

Would u guys like to share ur feelings about him ! i mean ur views ?


HAPPY IQBAL DAY ![)]


- Nauman - 11-08-2010

Mughay iss baat ki khushi hai ke kal chutti hai D


- Sarfaraz Khan - 11-08-2010

yes every year m really very happy to know that day before 9 Nov that tomorrow is a OFF DAY.. and i cant describe my feelings..this is just due to Iqbal sahab ).. i love his song Kudhi ko kar buland etna $..

Thank u iqbal bhai .. u rockkk )



- raza 123 - 11-08-2010

hahahah yaar pls

pls give a serious tribute !! ziada nahi thora sa serious P


- Sarfaraz Khan - 11-08-2010

chal bhai ab tak tashreaaan yad hain (..kis mushkl se rat rat bhar jag kar ratai mare they (..


- yasir_live - 11-08-2010


Allama-Iqbal, Kash aap nay kuch esa bhi kia hota k Aap ki waja say 9-nov ko yahan saudia main bhi chuti hoti......Anyways jo kia hay uss k liay shukria.

lakin jatay jatay ek baat likhta chalun k Jo baat phir bhi FARAZ main hay woh aap main nahi hay.

Regards.





- Safoora - 11-08-2010

meri chutti nai ahy (((( subha 9 se shaam 5 tak classes ( Allama Iqbal bhai dekho hum pe zulum (


- Ali RAZA - 11-09-2010

Just want to add a nice quote of Dr. Allama Iqbal

People who have no hold over their process of thinking are likely to be ruined by liberty of thought. If thought is immature, liberty of thought becomes a method of converting men into animals.



- Namia Beera - 11-09-2010

nahin minnat-kash-e-tab-e-shanidan dastan meri
khamoshi guftagu hai, bezubani hai zaban meri

ye dastur-e-zaban-bandi hai kaisi teri mahfil mein
yahan to bat karne ko tarasti hai zaban meri

uthaye kuch waraq lala ne kuch nargis ne kuch gul ne
chaman mein har taraf bikhri hui hai dastan meri

ura li kumariyon ne tutiyon ne andlibon ne
chaman walon ne mil kar lut li tarz-e-fugan meri

tapak ai shama ansu ban k parwane ki ankhon se
sarapa dard hun hasrat bhari hai dastan meri

""ilahi phir maza kya hai yahan duniya mein rahne ka
hayat-e-jawidan meri na marg-e-nagahan meri"""




- Namia Beera - 11-09-2010

tu abhi rahguzar mein hai qaid-e-makam se guzar
misr-o-hijaz se guzar, paires-o-sham se guzar

jis ka amal hai be-garaz, us ki jaza kuch aur hai
hur-o-khayam se guzar, bada-o-jam se guzar

garche hai dilkusha bahot husn-e-firang ki bahar
tayarek buland bal dana-o-dam se guzar

koh shigaf teri zarab tujhse kushad sharq-o-garab
teze-hilahal ki tarah aish-o-nayam se guzar

tera imam be-huzur, teri namaz be-surur
aisi namaz se guzar, aise imam smumkin hai ke tu jisako samajhata hai baharan e guzar



- yasir_live - 11-09-2010


Samajh bhi kuch i hay tumhain Iqbal-bhai nay kya farmaya hay............Ya buss copy-paste kar dia tumnay ?

Regards.


- raza 123 - 11-09-2010

Namia in poetries ne dil khush kerdia - )


- Namia Beera - 11-09-2010

nahi samajh aai hai achi lagi issi liey post ki...
Iqbal is my all time favt poet


- yasir_live - 11-09-2010


Itni asaan petru main naa samajh anay wali kya baat thi ?

Anyways on this ocassion I like to say only one thing that Allama Iqbal was born on 9-Nov.

Regards.



- Safoora - 11-09-2010

( mujhe chutti nai mili aaj ki... mujhe bht shaded ghum hay is baat ka (