02-23-2007, 03:04 PM
manzil ki taraf koi rasta tou nikalne dein
wo log jo baithey hein auron ko tou chalne dein
ya husn e rafaqat ho ya tark e rafaqat ho
ya aap badal jayein ya mujh ko badalne dein
ya ghar ki khabar de dein ya izn e safar de dein
ya aap bhi rukk jayein ya mujh kobhi chalne dein
ghum wo ke lahu kar dein andar se hamara dil
hum wo ke pighal ke bhi aansu na nikalney dein
gar waqt ke marham ka darmaan na miley koi
kuch haadsey insaan ko barson na sanbhalne dein