08-28-2010, 02:06 AM
khoi khoi si hun main
kiyun yeh dil ka haal hai
dhundle saare khuwaab hain
uljha har khayaal hai
saari kaliyaan murjha gaeen, rang un ke yaadon mein reh gae
saare gharonde rait ke, lehrain aai, lehron mein beh gae
raah mein kal kitne charaagh the
saamne kal phoolon ke baagh the
kis se kahun, kaun hai jo sune
kaante hi kiyun main ne hain chune
sapne mere kiyun hain kho gae
jaage hain kiyun dil mein gham nae

kya kahun, kiyun yeh dil udaas hai
ab koi door hai na paas hai
choo lain jo dil, woh baatain ab kahaan
woh din kahaan, raatain ab kahaan
jo beeta kal hai ab khuwaab sa
ab dil mera hai betaab sa