11-22-2010, 07:26 PM
Chakki ki Dukan Aur saath ek Tandoor bhi khol leta hun, Uss main Jaali wali bunyaan aur Rang-barangi zarban wali shalwaar phen kar khara ho jata hun.......!
Yaar tum apnay dost ki figure ka, I mean uss ki investment ki figure ka idea tu do k kitni investment thi, kam bolay tu kitni kam for Example ? ........I mean Khuda na karay main kisi k paison ki toe nahi lay raha lakin ek idea karna chah raha hun takay pata tu chalay k main khud kahan stand kar raha hun. Specially Park towers k samnay walay office ka Rent kitna deta tha tumhara dost.
Abb mujhay nahi pata k Atay wali baat tum mazak main kar rahay ho ya serious....? lakin uss ka setup kya hay ? kabhi fursat main batana tafseel say.
Achay.......Shares ka business kamaskam kitnay say start hota hay........Aur uss main earning normally kitni ho jati hay......Initial investment kitni honi chaiyay ? Tum yaa kisi aur member ko pata ho tu batana.
Other Members........
Aap logon ki kya koi narazgi chal rahi hay meray saath, yaa main koi udhaar lekar bhaga hun ) Plz reply I really need some suggestions.
Regards.