Accountancy Forum
  • Accountancy
  • Forum Home
  • Members
  • Team
  • Help
  • Search
  • Register
  • Login
  • Home
  • Members
  • Help
  • Search
Accountancy Forum General General Discussion v
« Previous 1 … 25 26 27 28 29 30 31 32 33 34 35 36 37 38 39 Next »
Yeh baat samajh main aayee nahi!!!

 
  • 0 Vote(s) - 0 Average
Yeh baat samajh main aayee nahi!!!
G rai
Offline

Junior Member

Posts: 8
Threads: 6
Joined: Jan 2004
Reputation: 0
#1
01-24-2004, 03:13 AM
Yeh baat samajh main aayee nahi, aur ammi nay samjhayee nahi
Main kaisay meethi baat karoon, jab meethi cheez khaayee nahi


Aapa bhi pakaati hain halwa, woh aakhir kiun halwaayee nahi
Bhayya ki mangni ho gayee hai kal, kiun kal hi dulhan mangwayee nahi
Yeh baat samajh main aayee nahi!!!


Naani k meyaan jab nana hain, Daadi k meyaan jab dada hain
Tab aapi say mainne poocha, "Baji k meyaan kia baaja hain"?
Woh hans hans kar yoon kehnay lagi, aye bhai nahi yoon bhai nahi
Yeh baat samajh main aayee nahi!!!


Jab neya maheena aata hai, bijli ka bill aajata hai
Halankay baadal bechara yeh bijli muft lutaata hai
Phir ham nay apnay ghar bijli, kiun baadal say lagwayee nahi
Yeh baat samajh main aayee nahi!!!


Gar billi sher ki khaala hai, Phir ham nay usay kiun paala hai?
Kia sher buhat naalaaiq hai, khaala ko maar nikaala hai?
Ya jungle k raaja k yahan, kia milti doodh malaayee nahi?
Yeh baat samajh main aayee nahi!!!


Kiun lambay baal hain bhaaloo k, kiun us ki tind karayee nahi?
Kia woh bhi ganda bacha hai, ya us k abbu "BHAI" nahi?
Yeh us ka hair style hai, Ya jungle main koi naayee nahi?
Yeh baat samajh main aayee nahi!!!


Jo taaray jugmug kartay hain, kia un ki chaachi taayee nahi?
Hoga koi rishta sooraj say, yeh baat hamain batlaayee nahi
Par chaand kis ka maamoo hai, Jab maami ka woh bhai nahi?
Yeh baat samajh main aayee nahi!!!


Yeh baat samajh main aayee nahi, aur ammi nay samjhayee nahi
Main kaisay meethi baat karoon, jab meethi cheez khayee nahi


MAGIC MAN
derivativetrader
Offline

Senior Member

Posts: 584
Threads: 13
Joined: Dec 2003
Reputation: 0
#2
01-24-2004, 03:38 AM
<BLOCKQUOTE id=quote><font size=1 face="Verdana, Tahoma, Arial" id=quote>quote<hr height=1 noshade id=quote>
Yeh baat samajh main aayee nahi, aur ammi nay samjhayee nahi
Main kaisay meethi baat karoon, jab meethi cheez khaayee nahi


Aapa bhi pakaati hain halwa, woh aakhir kiun halwaayee nahi
Bhayya ki mangni ho gayee hai kal, kiun kal hi dulhan mangwayee nahi
Yeh baat samajh main aayee nahi!!!


Naani k meyaan jab nana hain, Daadi k meyaan jab dada hain
Tab aapi say mainne poocha, "Baji k meyaan kia baaja hain"?
Woh hans hans kar yoon kehnay lagi, aye bhai nahi yoon bhai nahi
Yeh baat samajh main aayee nahi!!!


Jab neya maheena aata hai, bijli ka bill aajata hai
Halankay baadal bechara yeh bijli muft lutaata hai
Phir ham nay apnay ghar bijli, kiun baadal say lagwayee nahi
Yeh baat samajh main aayee nahi!!!


Gar billi sher ki khaala hai, Phir ham nay usay kiun paala hai?
Kia sher buhat naalaaiq hai, khaala ko maar nikaala hai?
Ya jungle k raaja k yahan, kia milti doodh malaayee nahi?
Yeh baat samajh main aayee nahi!!!


Kiun lambay baal hain bhaaloo k, kiun us ki tind karayee nahi?
Kia woh bhi ganda bacha hai, ya us k abbu "BHAI" nahi?
Yeh us ka hair style hai, Ya jungle main koi naayee nahi?
Yeh baat samajh main aayee nahi!!!


Jo taaray jugmug kartay hain, kia un ki chaachi taayee nahi?
Hoga koi rishta sooraj say, yeh baat hamain batlaayee nahi
Par chaand kis ka maamoo hai, Jab maami ka woh bhai nahi?
Yeh baat samajh main aayee nahi!!!


Yeh baat samajh main aayee nahi, aur ammi nay samjhayee nahi
Main kaisay meethi baat karoon, jab meethi cheez khayee nahi


MAGIC MAN
<hr height=1 noshade id=quote></BLOCKQUOTE id=quote></font id=quote><font face="Verdana, Tahoma, Arial" size=2 id=quote>

Nice one.

aca2u
Offline

Junior Member

Posts: 35
Threads: 3
Joined: Nov 2003
Reputation: 0
#3
02-04-2004, 07:15 PM
But G rai, you have not mentioned, yeah poem kahan say lee hai or kis ki hai, caz it may violate the copy right law in pakistan?

Waisay yea main nay apnay childhood main sunii thee.... )

Kia zamana yad dila dia.
Wahhhhhh

TATA
ACA2B
n/a2
Offline

Member

Posts: 225
Threads: 16
Joined: Feb 2004
Reputation: 0
#4
02-29-2004, 02:18 AM
Mein ne bhi yeh pehle suni hai a total violation of copyright law

ARSLAN
« Next Oldest | Next Newest »

Users browsing this thread: 1 Guest(s)



  • View a Printable Version
  • Subscribe to this thread
Forum Jump:

© 2002-2024 Accountancy. Copyrights of all content on this web site are owned by Accountancy except where indicated in source or copyright statements. Accountancy must be contacted for permission to copy or redistribute any material published on this website.

Linear Mode
Threaded Mode