Accountancy Forum
  • Accountancy
  • Forum Home
  • Members
  • Team
  • Help
  • Search
  • Register
  • Login
  • Home
  • Members
  • Help
  • Search
Accountancy Forum General General Discussion v
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 … 39 Next »
poetry

 
  • 0 Vote(s) - 0 Average
poetry
Namia Beera
Offline

Senior Member

Posts: 616
Threads: 20
Joined: Aug 2010
Reputation: 0
#601
09-17-2010, 11:49 PM
<blockquote id="quote"><font size="1" face="Verdana, Arial, Helvetica, san" id="quote">quote<hr height="1" noshade id="quote"><i>Originally posted by raza 123</i>
<br />Ek masoom si mohabbat ka itna hi fasana hai
Ek kagaz ki haveli aur baarish ka zamana hai

Uff ye kya sharte mohabbat kya shart-e-zamana hai
Aawaz bhi zakhmi aur vo geet bhi gaana hai

Us paar utarne ki umeed bahut hi kum hai
Kashti bhi purani aur toofan ko bhi aana hai

Koi samjhe ya na samjhe ye raze mohabbat
Kisi shaks ko ankho se ye sher sunana hai

this powm is one of my all time favourite poems....

Ek bholi si ada, aaj koi phir ishq ki zid par hai
Phir aag ka dariya hai, aur phiir doob ke jaana hai
<hr height="1" noshade id="quote"></font id="quote"></blockquote id="quote">
Safoora
Offline

Senior Member

Posts: 737
Threads: 5
Joined: Aug 2010
Reputation: 0
#602
09-18-2010, 10:49 PM
Yahan her shaks har pal hadsa honay se darta hay
khilona hay jo mitti ka fanaa honay se darta hay

mere dil k kisi konay mai aik masoom sa bacha
baroon ki dekh k dunya bara honay se darta hay

ajab hai zindagi ki qaid mai dunya ka her insaan
rihaai mangta hay aur riha honay se darta hai


na bas mai zindgi is k na qabu maut pe iska
Laikin insan phr bhi kab Khuda hunay se darta hay
aamalik
Offline

Member

Posts: 180
Threads: 6
Joined: Jul 2009
Reputation: 0
#603
09-19-2010, 12:47 AM
<blockquote id="quote"><font size="1" face="Verdana, Arial, Helvetica, san" id="quote">quote<hr height="1" noshade id="quote"><i>Originally posted by helow</i>
<br />good post friends. keep posting.
<hr height="1" noshade id="quote"></font id="quote"></blockquote id="quote">

U to r welcome. dude!
Kasim
Offline

Posting Freak

Posts: 1,102
Threads: 145
Joined: Jan 2010
Reputation: 0
#604
09-23-2010, 06:47 PM
Barbaad-a-gulshan k liyeah aik he ullo kafi tha
her shak pay ullo baitha hay anjaam-a-gulistan kia hoga?
WARDAH
Offline

Posting Freak

Posts: 3,337
Threads: 22
Joined: Sep 2009
Reputation: 0
#605
09-23-2010, 07:06 PM
ye tumhari ijaad krda hai???
yasir_live
Offline

Posting Freak

Posts: 2,326
Threads: 8
Joined: Oct 2009
Reputation: 0
#606
09-27-2010, 05:42 PM

apni soi hui dunya ko jaga loon to chaloon
apne Gham_khaney mein ik dhoom macha loon to chaloon
aur ik jaam-e-may-e-talkh chadhaa loon to chaloon
abhi chalta hoon zara Khud ko sambhaloon to chaloon


jaane kab pi thi abhi tak hai may-e-Gham ka khumaar
dhundlaa dhundlaa sa nazar aata hai jahan-e-bedaar
aandhiyan chalti hain dunya hui jati hai Ghubaar
aankh to mal loon zara hosh mein aa loon to chaloon


meri aankhon mein abhi tak hai muhabbat ka Ghuroor
mere honton ko abhi tak hai sadaaqat ka Ghuroor
mere maathe pe abhi tak hai sharaafat ka Ghuroor
aise vehmon se bhi ab Khud ko nikaloon to chaloon

yasir_live
Offline

Posting Freak

Posts: 2,326
Threads: 8
Joined: Oct 2009
Reputation: 0
#607
09-27-2010, 05:46 PM

Saaki Teri Sharaab Ne Aisa Nasha Diya
Dil mein unki yaad thi usko bhula diya.


Ye husn kya, shabaab kya, hai kya naseeb mein,
Aaj toone jaam mein, kya-kya mila diya.
WARDAH
Offline

Posting Freak

Posts: 3,337
Threads: 22
Joined: Sep 2009
Reputation: 0
#608
09-28-2010, 07:08 PM
strange to c yasir buddy..........luvly sharing second last one.
yasir_live
Offline

Posting Freak

Posts: 2,326
Threads: 8
Joined: Oct 2009
Reputation: 0
#609
09-28-2010, 11:01 PM
Wardah,

Kyun Dear Strange kis liay laga )

Regards.



her aik mor pe phela hai hasraton ka dhuwan
na koi rah
na manzil
na roshni ka nishan
jiye to kis liye koi aas bhi to nahin
jo hum guzaar rahe hai yeh zindagi to nahin


yasir_live
Offline

Posting Freak

Posts: 2,326
Threads: 8
Joined: Oct 2009
Reputation: 0
#610
09-28-2010, 11:57 PM

Apni neend say mujhe kuch yunh bhi mohabbat hai faraz
k us ne kaha tha mujhe paana tumhare liye sirf ek khuwaab hai.........

kherat mien mili hui khusi humien achi nahe lagte faraz
hum apny dukhoan mien nawaboan ki tarhan rehty hien


WARDAH
Offline

Posting Freak

Posts: 3,337
Threads: 22
Joined: Sep 2009
Reputation: 0
#611
09-29-2010, 12:58 AM
is topic mai post tumhari prh k or kis liey dear....

Haal ye hai ke KHwahish-e-pursish-e-haal bhi nahiN
Uus ka KHyaal bhi nahiN apna Khyaal bhi nahiN

Ae shajar-e-hayat-e-shauq..... aisee KHizaaN raseedgi ???
Poshish-e-barg-o-gul to kya jis'm pe chhaal bhi nahiN ???

Mujh mein wo shaKHs ho chuka jis ka ko'ee hisaab tha
Sood hai kya...ziy'aaN hai kya iss ka sawaal bhi nahiN

Mas't hai apne haal mein dil zadgaan-o-dil baraaN
Sul'h-o-salaam to kujja behas-o-jadaal bhi nahiN

Tu mera hosla to dekh daad to de ke ab mujhe
Shauq-e-kamal bhi nahiN KHauf-e-zawaal bhi nahiN

KHema gah-e-nigaah ko loot lia gaya hai kya ??
Aaj ufuq ke dosh par gar'd ki shaal bhi nahiN

Uff ye fiza-e-ehti'yaat taa kahiN uDH na ja'en hum
Baad-e-junoob bhi nahiN baad-e-shumaal bhi nahiN

GHarat-e-roz-o-shab to dekh waqt ka ye GHazab to dekh
Kal to nidhaal bhi tha mein aaj nidhaal bhi nahiN

Mere zamaan-o-zaat ka hai ye mu'aamla ke ab
Sub'eh firaaq bhi nahiN shaam-e-wisaal bhi nahiN

Mein bhi bahut ajeeb hun itna ajeeb hun ke bas
KHud ko taba'ah kar liya aur malaal bhi nahiN.
raza 123
Offline

Senior Member

Posts: 715
Threads: 18
Joined: May 2010
Reputation: 0
#612
09-29-2010, 03:47 AM
Chand Bhe Ankhir Mera Angan Chor Gya
Rat Ka Pichla Peher Dhala Or Tanha Mein
raza 123
Offline

Senior Member

Posts: 715
Threads: 18
Joined: May 2010
Reputation: 0
#613
09-29-2010, 03:57 AM
Kash Koi Tu Mera Bhe Humraaz Bune
Mujhse Sare Log Khafa Or Tanha Mein
raza 123
Offline

Senior Member

Posts: 715
Threads: 18
Joined: May 2010
Reputation: 0
#614
09-29-2010, 04:03 AM
<blockquote id="quote"><font size="1" face="Verdana, Arial, Helvetica, san" id="quote">quote<hr height="1" noshade id="quote"><i>Originally posted by yasir_live</i>
<br />
Saaki Teri Sharaab Ne Aisa Nasha Diya
Dil mein unki yaad thi usko bhula diya.


Ye husn kya, shabaab kya, hai kya naseeb mein,
Aaj toone jaam mein, kya-kya mila diya.

<hr height="1" noshade id="quote"></font id="quote"></blockquote id="quote">

Great..
Ali RAZA
Offline

Senior Member

Posts: 312
Threads: 15
Joined: Jul 2009
Reputation: 0
#615
09-29-2010, 04:06 AM
<blockquote id="quote"><font size="1" face="Verdana, Arial, Helvetica, san" id="quote">quote<hr height="1" noshade id="quote"><i>Originally posted by yasir_live</i>
<br />
Saaki Teri Sharaab Ne Aisa Nasha Diya
Dil mein unki yaad thi usko bhula diya.


Ye husn kya, shabaab kya, hai kya naseeb mein,
Aaj toone jaam mein, kya-kya mila diya.

<hr height="1" noshade id="quote"></font id="quote"></blockquote id="quote">

the best..!!
« Next Oldest | Next Newest »

Users browsing this thread: 2 Guest(s)

Pages (50): « Previous 1 … 34 35 36 37 38 39 40 41 42 43 44 45 46 47 48 … 50 Next »
Jump to page 


  • View a Printable Version
  • Subscribe to this thread
Forum Jump:

© 2002-2024 Accountancy. Copyrights of all content on this web site are owned by Accountancy except where indicated in source or copyright statements. Accountancy must be contacted for permission to copy or redistribute any material published on this website.

Linear Mode
Threaded Mode