Accountancy Forum

Full Version: poetry
You're currently viewing a stripped down version of our content. View the full version with proper formatting.
Tod de her ek ummed ki dori.. ummedon me kya rakha hai
Ihsq mohabbat batein hain.. In baaton me kya rakha hai
kismat main jo likha hai woh akhir ho ker rehta hai
chund lakereen uljhi se hain..warna hathon main kya rakha hai ?????
kab yaad mein tera saath nahi,kab haath mein tera haath nahi
sudd shukr ke apni raato'n mein ab hijr ki koi raat nahi
mushkil hein agar halaat wahan,dil baich aayein jaa'n de aayein
dil waalo koocha e jaana'n mein kya aisey bhi halaat nahi
jis dhaj se koi maqtal mein gaya,wo shaan salamat rehti hai
ye jaan tou aani jaani hai,iss jaan ki tou koi baat nahi
maidaan e wafa darbaar nahi,yaa'n naam o nasab ki poochh kahan
aashiq tou kisi ka naam nahi,kuch ishq kisi ki zaat nahi
gar baazi ishq ki baazi hai jo chaho laga do dar kaisa
gar jeet gaye tou kya kehna,haarey bhi tou baazi maat nahi
raat yun dil mein teri khoyi hoi yaad aayi
jaise wiraaney mein chupkey se bahaar aa jaye
jaise sehraao'n mein holey se chaley baad e naseem
jaise bemaar ko bewajha qaraar aa jaye
mein ne pochha dhoop mein baarish ho sakti hai
ye sun kar wo hastey hastey roney lagi
aur dhoop mein baarish honey lagi
rafeeq e raah thee manzil har ik talaash ke baad
chhuta ye saath tou rah ki talaash bhi na rahi
malool tha dil e aaiyna har haraash ke baad
jo paash paash hoa ik haraash bhi na rahi
guzar jaa aql se aagey ke ye noor
chiraagh e raah hai manzil nahi hai
nadaa e ghaib

har ik oolil amar ko sada do
ke apni fard e amal sambhaley
uthay ga jab jama e sarfiroshaa'n
parei'n ge daar o rasan ke laaley
koi na ho ga ke jo bacha le
jaza saza sab yahin pe ho ge
yahin azaab o sawaab ho ga
yahin se uthey ga shaur e mehshar
yahin pe roz e hisaab ho ga
rotey bachon ko chup karana ho
radio ka battan daba dijiye
phir na bolein ge khauf ke maarey
raag pakka unhein suna dijiye
maqtal mein na masjid na kharabaat mein koi
hum kis ki amaanat mein ghum e kaar e jahan dein
shayad koi inn mein se kafan phhaar ke nikley
abb jayein shahido'n ke mazaaro'n pe azaa'n dein
mujhey nafrat hai aur nafrat rahey ge aisey logon se
jo dastaar de kar sar salaamat maang letey hein
jo parindey nigaah rakhtey hein
sab se pehley aseer hotey hein
aey 'adum' ehtiyaat logon se
log munkir nakeer hotey hein
dunya mein ehtaraam ke qaabil hein jitney log
mein sab ko maanta hoon magar MUSTUFA(SAWW) ke baad
dunya TEREY wajood ko karti rahi talaash
hum ne TEREY khayal ko YAZDAA'N bna liya
takhleeq e kaeynaat ke dilchasp jurm par
hasta tou ho ga aap bhi YAZDAA'N kabhi kabhi
IK NIGAAH E KARAM AEY HABIB E KHUDA
ALMADAD MUSTUFA ALMADAD MUSTUFA
BEKHABAR HAI NAZAR BE ASAR HAI DUA
ALMADAD MUSTUFA ALMADAD MUSTUFA
AZ UFAQ TAA UFAQ RANJ O GHUM KI GHATA
ALMADAD MUSTUFA ALMADAD MUSTUFA
AADMIYAT HAI MASROOF E AAH O BAQA
ALMADAD MUSTUFA ALMADAD MUSTUFA
CHAAK DAR CHAAK HAI AHL E DIL KI QABA
ALMADAD MUSTUFA ALMADAD MUSTUFA
HUM FAQIRO'N KO BHI MUSKURAANA SIKHA
ALMADAD MUSTUFA ALMADAD MUSTUFA
MAQSAD E AMR E KUN WAARIS E HAL ATAA
ALMADAD MUSTUFA ALMADAD MUSTUFA